Kaisa ye kalyug hai, kaisa ye kalyug hai!
Ek oar jahaan rayeesi
ko rutbaa toh dikhaawe ko sach samajhte hai,
Doosri oar kisiki achhayi ko majboori toh Koile ki khaan me pade heere ko pathhar samajhte hai!
Aisa ye kalyug, haan aisa ye kalyug hai!
Doosron ko sharaafat ke taraazu me tolna chahta hai har koi,
Kabhi khudke girebaan
mein jaankhkar dekhna nahin chahta koi!
Kaisa ye kalyug hai, kaisa ye kalyug hai!
Saadgi bhari zindagi
basar karna chaahe har kisi ka mann,
Phirbhi lubhati sabko is duniya ki bebuniyaad chakaachaundh!
Aisa ye kalyug, haan aisa ye kalyug hai!
Jinse pyaar na mile, unhi se pyaar ki fariyaad karte hai,
Aur jo pyaar mein sab
kucch qurbaan kare, unse aankhmicholi khelte hai!
Kaisa ye kalyug hai, kaisa ye kalyug hai!
Kehtein hai...
Pyaar mein jaan dete thhe mohabbat karne wale, aisa bhi ek daur tha heer-raanjha laila-majnuka koi
Aajka ye daur hai...
Duniyadaari ki uljhan me ulajhkar pyaar ko hi
jung ka maidaan bana leta hai har koi!
Aisa ye kalyug, haan
aisa ye kalyug hai!
Doosron ki kareebiyon ko dekhkar jalta hai auron ka dil!
Arrey khud ki pareshaaniyon se nahin par doosron ki
khushiyon se dukhta hai logon ka dil!!!
No comments:
Post a Comment