Friday 6 December 2019

Yaadein...

Ja rahi hoon sab kuchh bhulaakar
Wo saari yaadein, woh saari baatein..
Woh sapne, woh lamhe,  woh mulaakate..
Jo kabhi  meri  duniya  hua karte  the !
Ummeedon ke us bavandar se nikal gayi hoon main..
Azaad hoon main! Azaad hoon main!
Naa koi rok sakega ab koi, 
Naa bandhan , naa vaasta, naa guzaarish
Naa koi Giley hai, Naa hai Shikvey,
Naa koi Saajish, Naa koi Ranjish,
Bas Jo bhi tajurbe hue hai,
Wohi meri daulat, wohi meri Pehchaan, 
Wohi mera Rutbaa, Wohi mera Imaan


- Dr Racchana D Fadia

No comments:

Post a Comment