Tuesday, 31 December 2019

WHO AM I ?

Enlightening Pegasus is my Warrior Name
Am a Warrior of the Light
From the Tribe of “The Rising Sun” Fame
I bring Unity in the Tribe and Purity is my Flame!
The reason I am born is to shine the Light of Dawn
On Core of Beings who’s Consciousness is withdrawn
My Vision : To make Fear of unknown in the Heart of millions Tamed
Overcoming Wars of Ego which indeed makes humanity ashamed
Awaken Beautiful Beings from their sleep is my Heartfelt Aim,
Supporting Human Colossus to win over the Mind n Matter Game
Help heal their wounded heart & weed out negativity from their Brain
Guiding them to live in the NOW - a life of Dignity again
Leaving aside all the Future worries and Past Pain
Reinforce values of Compassion & Gratitude amongst Mankind
To Harness & nurture feelings of Oneness & Love for Mother Nature Divine
Inspire them to connect with the True Self & facilitate their Life paths to shine
Assisting them to recall their Purpose of arriving on Planet Earth's terrain
So their efforts of Self-discovery do not go in vain
As they serve the World gracefully with their New found Identity true to their Name
Which they finally recognize with Clarity And Joyfully Reclaim !

-DR RACCHANA D FADIA
Meraki Pegasus 
  

Saturday, 28 December 2019

Bid Adieu to 2019 !

Farewell to one of the last TEENS of this Century... which gifted me
 
* The Divine Miracles 
   - that -
   Doomed the "I"
     - & -
  Bloomed my "Inner Eye" *

             

Friday, 6 December 2019

Yaadein...

Ja rahi hoon sab kuchh bhulaakar
Wo saari yaadein, woh saari baatein..
Woh sapne, woh lamhe,  woh mulaakate..
Jo kabhi  meri  duniya  hua karte  the !
Ummeedon ke us bavandar se nikal gayi hoon main..
Azaad hoon main! Azaad hoon main!
Naa koi rok sakega ab koi, 
Naa bandhan , naa vaasta, naa guzaarish
Naa koi Giley hai, Naa hai Shikvey,
Naa koi Saajish, Naa koi Ranjish,
Bas Jo bhi tajurbe hue hai,
Wohi meri daulat, wohi meri Pehchaan, 
Wohi mera Rutbaa, Wohi mera Imaan


- Dr Racchana D Fadia

Chaahat Bechainiyon Se !


Tujhe chaoon is kadar, is kadar tujhe chahoon
Zarre zarre me dhhoondhti hun teri parchhayiaan
Teri chhahat ne is mukaam tak laakar rakh diya hai mujhe
Jahaan se khoobsoorat lagta hai aane wala har woh pal
Jo beetega Teri duniya mein.. Teri baahon mein.. Tere khayaalon mein
Sapnon ki us duniya mein Kahin door chal Pade hai kadam
Jahaan se sab Kuch lagta hai suhaana, saral or saccha
Ek darr sa Laga rehta hai, kyon bechain karte rehta Hai
Dil jo ek Baar toota hai, woh phir se Kahi naa toote
Joh waade kiye hai, Kahi woh iraade na ho joothe
Mann sambhalna chaahta hai lekin dil mein hai toofaan uthte rehte,
Kinaare se door..Beech samandar Khoyi hai Kashti.... Manzil ki Talaash mein!!!



- Dr Racchana D Fadia
MERAKI

Dil ki Saazishe !

Wafa karke wafadari ki sazaa hi mili hai
Jin-Jinka khayal rakha khud se bhi ziyaada
Badle mein unse siraf Bewafaayi hi mili hai
Aaj ye muaal-e-dil hai ...
har pal ranjishon mein dooba rehta hai Dil
Shaayad ye iski aadat-si ho gayi hai !!!
Sochti hoon ..har din ..har raat..
Kyon bheja khuda ne is zaalim duniya mein
Shaayad Ibrahim ki tarah mera bhi intahaan liya jaa raha hai!
Bohot ho Gaya ab Bhar Gaya hai mann sab se
Kab-o-kaise rihaayat hogi bandishon se ??
Bass, iska besabri se intezaar hai!!!


-Dr Racchana D Fadia


Hukkam Sikke Da !


सारा जग्ग वेख लेया ,
सबरां बात्तें जाण लेया
सारे जग विच एक्कहि हुक्कम चाल्लेया
ओ है, सिक्कें दा हुक्कम बुल्लेया !!!


Sara jagg vekh leya,
Sab'raan baattein jaann leya!
Saare Jag vich ekahi hukkam challeya...
O hai, Sikke da hukkam Bulleya!!!


Dr Racchana D Fadia
MERAKI